ai Khaar Khaar-e-hasrat kya kya figar hain hum
ai ḳhaar ḳhār-e-hasrat kyā kyā figār haiñ ham
kyā haal hogā us kā jis dil meñ ḳhaar haiñ ham
har chand dil meñ tere zālim ġhubār haiñ ham
kitne dabe hue haiñ kyā ḳhāksār haiñ ham
kyā jaane kyā dikhā.e kam-baḳht rāz-e-dushman
be-iḳhtiyār ho tum aur be-qarār haiñ ham
vaañ shoḳhiyoñ ne maare nākām kaise kaise
yaañ sādgī se kyā kyā ummīd-vār haiñ ham
ne raḳht mai-kade meñ ne kā'be kā irāda
haiñ dil lagī ke bande yāroñ ke yaar haiñ ham
vaañ sarguzisht-e-dushman vo kah rahe haiñ muñh par
yaañ be-ḳhudī hai is par kyā rāz-dār haiñ ham
saaqī tirī nigāheñ kab tak raheñgī palTī
hai nashsha zāhidoñ ko aur bāda-ḳhvār haiñ ham
kā'ba hai sañg-e-bālīñ zohād-e-ḳhufta dil kā
aur mai-kade ke andar shab-zinda-dār haiñ ham
allāh re zarf-e-dil kā sab kī jagah hai is meñ
be-ġham rahe hai dushman kyā ġham-gusār haiñ ham
ai hashr bach ke chalnā ai charḳh haT ke girnā
hai barq saaya jis kā vo ḳhār-zār haiñ ham
itnī ḳhalish mizha kī ab baḌh ga.ī ki goyā
zaḳhm-e-dil-e-adū meñ ḳhanjar-guzār haiñ ham
kab tak rahegā dushman jaame se apne bāhar
ho aag aag jis se tum vo sharār haiñ ham
dushman kī jeb meñ tum sabr-o-shakeb meñ ham
tum dast-e-kotahī ho pā-e-nigār haiñ ham
vādī-e-justujū se guzrīñ to kyā 'ajab hai
vārafta kaise kaise lail-o-nahār haiñ ham
kyā bāda-e-javānī mard-āzamāñ nasha thā
ab ai 'qalaq' vabāl-e-ḳhvāb-o-ḳhumār haiñ ham
ai KHar KHar-e-hasrat kya kya figar hain hum
kya haal hoga us ka jis dil mein KHar hain hum
har chand dil mein tere zalim ghubar hain hum
kitne dabe hue hain kya KHaksar hain hum
kya jaane kya dikhae kam-baKHt raaz-e-dushman
be-iKHtiyar ho tum aur be-qarar hain hum
wan shoKHiyon ne mare nakaam kaise kaise
yan sadgi se kya kya ummid-war hain hum
ne raKHt mai-kade mein ne ka'be ka irada
hain dil lagi ke bande yaron ke yar hain hum
wan sarguzisht-e-dushman wo kah rahe hain munh par
yan be-KHudi hai is par kya raaz-dar hain hum
saqi teri nigahen kab tak rahengi palTi
hai nashsha zahidon ko aur baada-KHwar hain hum
ka'ba hai sang-e-baalin zohad-e-KHufta dil ka
aur mai-kade ke andar shab-zinda-dar hain hum
allah re zarf-e-dil ka sab ki jagah hai is mein
be-gham rahe hai dushman kya gham-gusar hain hum
ai hashr bach ke chalna ai charKH haT ke girna
hai barq saya jis ka wo KHar-zar hain hum
itni KHalish mizha ki ab baDh gai ki goya
zaKHm-e-dil-e-adu mein KHanjar-guzar hain hum
kab tak rahega dushman jame se apne bahar
ho aag aag jis se tum wo sharar hain hum
dushman ki jeb mein tum sabr-o-shakeb mein hum
tum dast-e-kotahi ho pa-e-nigar hain hum
wadi-e-justuju se guzrin to kya 'ajab hai
warafta kaise kaise lail-o-nahaar hain hum
kya baada-e-jawani mard-azaman nasha tha
ab ai 'qalaq' wabaal-e-KHwab-o-KHumar hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.