ai KHuda ajab hai tera jahan mera dil yahan pe laga nahin
ai KHuda ajab hai tera jahan mera dil yahan pe laga nahin
Ambareen Haseeb ambar
MORE BYAmbareen Haseeb ambar
ai ḳhudā ajab hai tirā jahāñ mirā dil yahāñ pe lagā nahīñ
jahāñ koī ahl-e-vafā nahīñ kisī lab pe harf-e-duā nahīñ
baḌā shor thā tire shahr kā so guzār aa.e haiñ din vahāñ
vo sakūñ ki jis kī talāsh hai tire shahr meñ bhī milā nahīñ
ye jo hashr barpā hai har taraf to bas is kā hai yahī ik sabab
hai laboñ pe nām-e-ḳhudā magar kisī dil meñ ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ
jo hañsī hai lab pe sajī huī to ye sirf zabt kā farq hai
mire dil meñ bhī vahī zaḳhm haiñ mirā haal tujh se judā nahīñ
ye jo dasht-e-dil meñ haiñ raunaqeñ ye tirī atā ke tufail haiñ
diyā zaḳhm jo vo harā rahā jo diyā jalā vo bujhā nahīñ
ai ḳhudā ajab hai tirī razā koī bhed is kā na pā sakā
ki milā to mil gayā be-talab jise māñgte the milā nahīñ
vo jo harf-e-haq thā likhā gayā kisī shaam ḳhuun se ret par
hai gavāh mauja-e-vaqt bhī ki vo harf us se miTā nahīñ
ai KHuda ajab hai tera jahan mera dil yahan pe laga nahin
jahan koi ahl-e-wafa nahin kisi lab pe harf-e-dua nahin
baDa shor tha tere shahr ka so guzar aae hain din wahan
wo sakun ki jis ki talash hai tere shahr mein bhi mila nahin
ye jo hashr barpa hai har taraf to bas is ka hai yahi ek sabab
hai labon pe nam-e-KHuda magar kisi dil mein KHauf-e-KHuda nahin
jo hansi hai lab pe saji hui to ye sirf zabt ka farq hai
mere dil mein bhi wahi zaKHm hain mera haal tujh se juda nahin
ye jo dasht-e-dil mein hain raunaqen ye teri ata ke tufail hain
diya zaKHm jo wo hara raha jo diya jala wo bujha nahin
ai KHuda ajab hai teri raza koi bhed is ka na pa saka
ki mila to mil gaya be-talab jise mangte the mila nahin
wo jo harf-e-haq tha likha gaya kisi sham KHun se ret par
hai gawah mauja-e-waqt bhi ki wo harf us se miTa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.