ai KHuda-e-wahm main thak gaya ye nizam sochte sochte
ai ḳhudā-e-vahm maiñ thak gayā ye nizām sochte sochte
tirī raah dekhte dekhte tirā naam sochte sochte
tū ḳhayāl hai ki sarā.e hai jahāñ aa gayā to maiñ bas gayā
mujhe rah ga.e mire jism ke dar-o-bām sochte sochte
na yahāñ kā huuñ na vahāñ kā huuñ to kahāñ kā huuñ mujhe ye batā
ye maiñ kis maqām pe aa gayā vo maqām sochte sochte
kahāñ kaun samt se aa ga.ī mire vāste ye sadā-e-qum
kahāñ kaun samt meñ chal diye mire gaam sochte sochte
yahī sochnā to azaab hai mirī zaat kā mirī zaat par
ki shurūa sab mire ho ga.e haiñ tamām sochte sochte
ai KHuda-e-wahm main thak gaya ye nizam sochte sochte
teri rah dekhte dekhte tera nam sochte sochte
tu KHayal hai ki sarae hai jahan aa gaya to main bas gaya
mujhe rah gae mere jism ke dar-o-baam sochte sochte
na yahan ka hun na wahan ka hun to kahan ka hun mujhe ye bata
ye main kis maqam pe aa gaya wo maqam sochte sochte
kahan kaun samt se aa gai mere waste ye sada-e-qum
kahan kaun samt mein chal diye mere gam sochte sochte
yahi sochna to azab hai meri zat ka meri zat par
ki shurua sab mere ho gae hain tamam sochte sochte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.