ai mard-e-KHuda ho tu parastar butan ka
ai mard-e-ḳhudā ho tū parastār butāñ kā
maz.hab meñ mire kufr hai inkār butāñ kā
lagtī vo tajallī sharar-e-sañg ke mānind
muusī tū agar dekhtā dīdār butāñ kā
gardan meñ mire tauq hai zunnār ke mānind
huuñ ishq meñ az-bas-ki gunahgār butāñ kā
donoñ kī Tuk ik sair kar insāf se ai shaiḳh
ka.abe se tire garm hai bāzār butāñ kā
duuñ saarī ḳhudā.ī ko evaz un ke maiñ 'tābāñ'
koī mujh sā batā de tū ḳharīdār butāñ kā
ai mard-e-KHuda ho tu parastar butan ka
mazhab mein mere kufr hai inkar butan ka
lagti wo tajalli sharar-e-sang ke manind
musi tu agar dekhta didar butan ka
gardan mein mere tauq hai zunnar ke manind
hun ishq mein az-bas-ki gunahgar butan ka
donon ki Tuk ek sair kar insaf se ai shaiKH
kabe se tere garm hai bazar butan ka
dun sari KHudai ko ewaz un ke main 'taban'
koi mujh sa bata de tu KHaridar butan ka
- Deewan-e-Taban Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.