ai mehr jo wan naqab sar ka
Interesting Fact
Maqta ( last couplet) was not written by the poet
ai 'mehr' jo vaañ naqāb sar kā
taḌkā ho jā.egā sahar kā
allāh re tuul balbe uljhāo
hai zulf kā qissa rāt-bhar kā
maḳhfī kī bayāz bhī to dekheñ
mazmūn to DhūñDhiye kamar kā
bantā to hai ḳhaak se bhī sonā
muhtāj nahīñ faqīr zar kā
dil meñ hai ḳhayāl-e-chehra-e-yār
ham-sāya huuñ aa.ine ke ghar kā
mīThā tere lab kā kiyā hai mujh ko
hai rañg to surḳh is shakar kā
ai 'mehr' jo wan naqab sar ka
taDka ho jaega sahar ka
allah re tul balbe uljhao
hai zulf ka qissa raat-bhar ka
maKHfi ki bayaz bhi to dekhen
mazmun to DhunDhiye kamar ka
banta to hai KHak se bhi sona
muhtaj nahin faqir zar ka
dil mein hai KHayal-e-chehra-e-yar
ham-saya hun aaine ke ghar ka
miTha tere lab ka kiya hai mujh ko
hai rang to surKH is shakar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.