ai mehrban hai gar yahi surat nibah ki
ai mehrbāñ hai gar yahī sūrat nibāh kī
baaz aa.e dil lagāne se tauba gunāh kī
ulTe gile vo karte haiñ kyuuñ tum ne chaah kī
kyā ḳhuub daad dī hai dil-e-dād-ḳhvāh kī
qātil kī shakl dekh ke hañgām-e-bāz-purs
nīyat badal ga.ī mire ik ik gavāh kī
merī tumhārī shakl hī kah degī roz-e-hashr
kuchh kaam guftugū kā na hājat gavāh kī
ai shaiḳh apne apne aqīde kā farq hai
hurmat jo dair kī hai vahī ḳhānqāh kī
ai mehrban hai gar yahi surat nibah ki
baz aae dil lagane se tauba gunah ki
ulTe gile wo karte hain kyun tum ne chah ki
kya KHub dad di hai dil-e-dad-KHwah ki
qatil ki shakl dekh ke hangam-e-baz-purs
niyat badal gai mere ek ek gawah ki
meri tumhaari shakl hi kah degi roz-e-hashr
kuchh kaam guftugu ka na hajat gawah ki
ai shaiKH apne apne aqide ka farq hai
hurmat jo dair ki hai wahi KHanqah ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.