ai mere man ke shah piya
ai mere man ke shaah piyā
mujhe aaj bhī terī chaah piyā
mire dil meñ sachchī priit tirī
tujhe kaun kiyā gumrāh piyā
maiñ gale meñ maalā Daal phirī
maiñ ne oḌhā rañg-e-siyāh piyā
tū jis jis raste se guzrā
maiñ ne chūmī har vo raah piyā
maiñ ne nau man tel jalāyā hai
dhāge bāñdhe dargāh piyā
maiñ ne ashk bahā.e masjid meñ
tū lauTā kyuuñ nā aah piyā
mire dard bhare in sheroñ par
phir log kaheñge vaah piyā
tire dar par arzī pesh kare
tirī shahzādī mire shaah piyā
sun rasta takte nain thake
chal DhūñD naañ koī raah piyā
tire hijr meñ chāñd ko gahan lagā
mirā rañg huā hai siyāh piyā
ai mere man ke shah piya
mujhe aaj bhi teri chah piya
mere dil mein sachchi prit teri
tujhe kaun kiya gumrah piya
main gale mein mala Dal phiri
main ne oDha rang-e-siyah piya
tu jis jis raste se guzra
main ne chumi har wo rah piya
main ne nau man tel jalaya hai
dhage bandhe dargah piya
main ne ashk bahae masjid mein
tu lauTa kyun na aah piya
mere dard bhare in sheron par
phir log kahenge wah piya
tere dar par arzi pesh kare
teri shahzadi mere shah piya
sun rasta takte nain thake
chal DhunD nan koi rah piya
tere hijr mein chand ko gahan laga
mera rang hua hai siyah piya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.