ai musawwir yaad ki taswir khincha chahiye
ai musavvir yaad kī tasvīr khīñchā chāhiye
haath merā us kā dāman-gīr khīñchā chāhiye
mujh se bismil kī agar tasvīr khīñchā chāhiye
ye galā merā tah-e-shamshīr khīñchā chāhiye
bast-e-zulf-e-musalsal hai ye dil sūrat-garo
donoñ jānib us ke do zanjīr khīñchā chāhiye
rañg-e-zard-e-āshiqāñ kar sirf jā-e-zāfarāñ
is basantī-posh kī tasvīr khīñchā chāhiye
kāġhaz-e-abrī pe likh hāl-e-dil-e-pur-soz-e-ishq
gird us ke barq kī tahrīr khīñchā chāhiye
ai musawwir yaad ki taswir khincha chahiye
hath mera us ka daman-gir khincha chahiye
mujh se bismil ki agar taswir khincha chahiye
ye gala mera tah-e-shamshir khincha chahiye
bast-e-zulf-e-musalsal hai ye dil surat-garo
donon jaanib us ke do zanjir khincha chahiye
rang-e-zard-e-ashiqan kar sirf ja-e-zafaran
is basanti-posh ki taswir khincha chahiye
kaghaz-e-abri pe likh haal-e-dil-e-pur-soz-e-ishq
gird us ke barq ki tahrir khincha chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.