ai rabb-e-kainat mujhe le panah mein
ai rabb-e-kā.ināt mujhe le panāh meñ
bahtā hī jā rahā huuñ ḳhalīj-e-gunāh meñ
tasvīr-e-shab meñ hikmat-e-hākim to dekhiye
khiltā hai nūr-e-māh libās-e-siyāh meñ
un kī galī meñ aa to ga.e haiñ magar ye dil
kartā hai zid ki aa.iye un kī nigāh meñ
be-sūd hai ye 'ilm-o-zihānat ye falsafa
samjheñ agar na farq safed-o-siyāh meñ
le kar purānī saañs ko detī hai phir na.ī
quvvat kahāñ se aa.ī hai aisī gayāh meñ
'sā.in' ġhazal pe daad milī hai to ḳhush na ho
kuchh aur hī chhupā hai rafīqoñ kī vaah meñ
ai rabb-e-kainat mujhe le panah mein
bahta hi ja raha hun KHalij-e-gunah mein
taswir-e-shab mein hikmat-e-hakim to dekhiye
khilta hai nur-e-mah libas-e-siyah mein
un ki gali mein aa to gae hain magar ye dil
karta hai zid ki aaiye un ki nigah mein
be-sud hai ye 'ilm-o-zihanat ye falsafa
samjhen agar na farq safed-o-siyah mein
le kar purani sans ko deti hai phir nai
quwwat kahan se aai hai aisi gayah mein
'sain' ghazal pe dad mili hai to KHush na ho
kuchh aur hi chhupa hai rafiqon ki wah mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.