ai ranj-e-agahi koi chaara to hoga na
ai ranj-e-āgahī koī chāra to hogā nā
chal ḳhush na rah sakeñge guzārā to hogā nā
ye aarzū bhī vaqt ke dhāre meñ bah ga.ī
ab naañ sahī kabhī vo hamārā to hogā nā
jaatī hai jo matā-e-dil-o-jāñ to kyā malāl
ye 'ishq kī dukāñ hai ḳhasāra to hogā nā
har aan jis kā zikr hai us be-niyāz ne
bhūle se merā naam pukārā to hogā nā
maiñ zād-e-rah ke taur pe bas ḳhvāb laa.ī huuñ
ai ham-safar tujhe ye gavārā to hogā nā
kyā ajnabī baneñge agar phir kabhī mile
kyā baat bhī na hogī ishāra to hogā nā
karnā karānā chhoḌ zabānī hī saath de
tinke kā ho agarche sahārā to hogā nā
ai ranj-e-agahi koi chaara to hoga na
chal KHush na rah sakenge guzara to hoga na
ye aarzu bhi waqt ke dhaare mein bah gai
ab nan sahi kabhi wo hamara to hoga na
jati hai jo mata-e-dil-o-jaan to kya malal
ye 'ishq ki dukan hai KHasara to hoga na
har aan jis ka zikr hai us be-niyaz ne
bhule se mera nam pukara to hoga na
main zad-e-rah ke taur pe bas KHwab lai hun
ai ham-safar tujhe ye gawara to hoga na
kya ajnabi banenge agar phir kabhi mile
kya baat bhi na hogi ishaara to hoga na
karna karana chhoD zabani hi sath de
tinke ka ho agarche sahaara to hoga na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.