ai sajan waqt-e-jaan-gudazi hai
ai sajan vaqt-e-jāñ-gudāzī hai
mausam-e-aish-o-fasl-bāzī hai
in chakoroñ se duur rah ai chāñd
qaul ushshāq kā namāzī hai
is qalandar kī baat sahl na buujh
ishq ke fan meñ faḳhr-e-rāzī hai
ham-qarīñ mujh na kar raqībāñ suuñ
taur yāroñ kī pāk-bāzī hai
āshiqāñ jān-o-dil gañvāte haiñ
ye na taur-e-zamāna-sāzī hai
'fā.ez' us ḳhush-adā sirījan paas
be-gunāhāñ kā qatl baazī hai
ai sajan waqt-e-jaan-gudazi hai
mausam-e-aish-o-fasl-bazi hai
in chakoron se dur rah ai chand
qaul ushshaq ka namazi hai
is qalandar ki baat sahl na bujh
ishq ke fan mein faKHr-e-raazi hai
ham-qarin mujh na kar raqiban sun
taur yaron ki pak-bazi hai
aashiqan jaan-o-dil ganwate hain
ye na taur-e-zamana-sazi hai
'faez' us KHush-ada sirijan pas
be-gunahan ka qatl bazi hai
- Dewan-e-Faiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.