ai sanam mujhko kisi se bhi sarokar nahin ba-KHuda tere siwa
ai sanam mujhko kisi se bhi sarokar nahin ba-KHuda tere siwa
Shah Akbar Danapuri
MORE BYShah Akbar Danapuri
ai sanam mujh ko kisī se bhī sarokār nahīñ ba-ḳhudā tere sivā
dīn-o-īmāñ se bhī matlab mujhe zinhār nahīñ maiñ to banda huuñ tirā
raas aa.ī na use baaġh kī bhī āb-o-havā āriza kuchh na ghaTā
achchhī hone kī bas ab nargis-e-bīmār nahīñ us kā hāfiz hai ḳhudā
ye vahī dil hai ki māshūqoñ kā thā madd-e-nazar thā hujūm aaTh pahar
ab vahī dil hai ki koī bhī ḳharīdār nahīñ aisā bāzār girā
nabz sāqit hī huī āñkheñ bhī haiñ chhat se lagīñ hai dam-e-bāz-pasīñ
zindagī ke mire ab koī bhī āsār nahīñ yuuñ to qādir hai ḳhudā
kaisā kaisā tirī furqat meñ huā haal mirā tū ne pūchhā na zarā
tujh sā be-rahm koī ai but-e-ayyār nahīñ aur agar hai to batā
apne begāne hue dost bane dushman-e-jāñ ḳhuuñ kā pyāsā hai jahāñ
ai sanam tū hī mirī shakl se bezār nahīñ ek aalam hai ḳhafā
'akbar'-e-ḳhasta se kah do ki vo tayyār rahe ham kamar bāñdh chuke
ab yahāñ rahne kā mauqa koī zinhār nahīñ qāfila aage baḌhā
ai sanam mujh ko kisi se bhi sarokar nahin ba-KHuda tere siwa
din-o-iman se bhi matlab mujhe zinhaar nahin main to banda hun tera
ras aai na use bagh ki bhi aab-o-hawa aariza kuchh na ghaTa
achchhi hone ki bas ab nargis-e-bimar nahin us ka hafiz hai KHuda
ye wahi dil hai ki mashuqon ka tha madd-e-nazar tha hujum aaTh pahar
ab wahi dil hai ki koi bhi KHaridar nahin aisa bazar gira
nabz saqit hi hui aankhen bhi hain chhat se lagin hai dam-e-baz-pasin
zindagi ke mere ab koi bhi aasar nahin yun to qadir hai KHuda
kaisa kaisa teri furqat mein hua haal mera tu ne puchha na zara
tujh sa be-rahm koi ai but-e-ayyar nahin aur agar hai to bata
apne begane hue dost bane dushman-e-jaan KHun ka pyasa hai jahan
ai sanam tu hi meri shakl se bezar nahin ek aalam hai KHafa
'akbar'-e-KHasta se kah do ki wo tayyar rahe hum kamar bandh chuke
ab yahan rahne ka mauqa koi zinhaar nahin qafila aage baDha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.