ai sanam tu sanam hai nirala tu jidhar bhi nigahen uTha de
ai sanam tu sanam hai nirala tu jidhar bhi nigahen uTha de
Fana bulandshahri
MORE BYFana bulandshahri
ai sanam tū sanam hai nirālā tū jidhar bhī nigāheñ uThā de
tū jise chāhe kar de musalmāñ tū jise chāhe kāfir banā de
laaj rakh mere jazb-e-vafā kī mere sajdoñ ko apnā pata de
mujh ko aatā nahīñ sar jhukānā bandagī kā tarīqa sikhā de
laaj rakh tū mirī bandagī kī yuuñ na bhaTkā mujhe dar-ba-dar tū
yā mujhe merī manzil atā kar yā mujhe sar ko ka.aba banā de
raaz ab tak samajh meñ na aayā raaz kī baat hai raaz hī meñ
ishq chāhe to miT jaa.e ḳhud hī husn chāhe to murda jilā de
baat ab tak samajh meñ na aa.ī tere jalvoñ meñ hai kaisā jaadū
jaan de de vo mansūr ban kar tū jise apnā jalva dikhā de
dard-e-dil le ke aayā huuñ dar par phir masīhā nigāh-e-karam kar
maiñ kahāñ jā.ūñgā ishq le kar jān-e-man mere dukh kī davā de
tū kahāñ maarā maarā phiregā uTh ke chaukhaT se apne sanam kī
hai 'fanā' bas yahī dīn-o-duniyā tū isī dar pe hastī miTā de
ai sanam tu sanam hai nirala tu jidhar bhi nigahen uTha de
tu jise chahe kar de musalman tu jise chahe kafir bana de
laj rakh mere jazb-e-wafa ki mere sajdon ko apna pata de
mujh ko aata nahin sar jhukana bandagi ka tariqa sikha de
laj rakh tu meri bandagi ki yun na bhaTka mujhe dar-ba-dar tu
ya mujhe meri manzil ata kar ya mujhe sar ko kaba bana de
raaz ab tak samajh mein na aaya raaz ki baat hai raaz hi mein
ishq chahe to miT jae KHud hi husn chahe to murda jila de
baat ab tak samajh mein na aai tere jalwon mein hai kaisa jadu
jaan de de wo mansur ban kar tu jise apna jalwa dikha de
dard-e-dil le ke aaya hun dar par phir masiha nigah-e-karam kar
main kahan jaunga ishq le kar jaan-e-man mere dukh ki dawa de
tu kahan mara mara phirega uTh ke chaukhaT se apne sanam ki
hai 'fana' bas yahi din-o-duniya tu isi dar pe hasti miTa de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.