ai sang-e-rah aabla-pai na de mujhe
ai sañg-e-rāh ābla-pā.ī na de mujhe
aisā na ho ki raah sujhā.ī na de mujhe
sat.h-e-shu.ūr par hai mire shor is qadar
ab naġhma-e-zamīr sunā.ī na de mujhe
insāniyat kā jām-e-jahāñ paash paash ho
allāh mere aisī ḳhudā.ī na de mujhe
rañgīniyāñ shabāb kī itnī haiñ dil-fareb
bāloñ pe aatī dhuup dikhā.ī na de mujhe
tark-e-ta.alluqāt pe isrār thā tujhe
ab to mirī vafā kī duhā.ī na de mujhe
be-bāl-o-par huuñ raas na aa.egī ye fazā
'sānī' qafas se apne rihā.ī na de mujhe
ai sang-e-rah aabla-pai na de mujhe
aisa na ho ki rah sujhai na de mujhe
sath-e-shuur par hai mere shor is qadar
ab naghma-e-zamir sunai na de mujhe
insaniyat ka jam-e-jahan pash pash ho
allah mere aisi KHudai na de mujhe
ranginiyan shabab ki itni hain dil-fareb
baalon pe aati dhup dikhai na de mujhe
tark-e-talluqat pe israr tha tujhe
ab to meri wafa ki duhai na de mujhe
be-baal-o-par hun ras na aaegi ye faza
'sani' qafas se apne rihai na de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.