ai shab-e-hijr ab mujhe subh-e-visal chahiye
ai shab-e-hijr ab mujhe sub.h-e-visāl chāhiye
taaza ġhazal ke vāste taaza ḳhayāl chāhiye
ai mire chāra-gar tire bas meñ nahīñ mo.āmla
sūrat-e-hāl ke liye vāqif-e-hāl chāhiye
ahl-e-ḳhirad ko aaj bhī apne yaqīn ke liye
jis kī misāl hī nahīñ us kī misāl chāhiye
us kī rafāqatoñ kā hijr jheliye kab talak 'salīm'
apnī tarah se ab mujhe vo bhī niDhāl chāhiye
ai shab-e-hijr ab mujhe subh-e-visal chahiye
taza ghazal ke waste taza KHayal chahiye
ai mere chaara-gar tere bas mein nahin moamla
surat-e-haal ke liye waqif-e-haal chahiye
ahl-e-KHirad ko aaj bhi apne yaqin ke liye
jis ki misal hi nahin us ki misal chahiye
us ki rafaqaton ka hijr jheliye kab talak 'salim'
apni tarah se ab mujhe wo bhi niDhaal chahiye
- Book : duniya aarzoo se kam hai (Pg. 154)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.