ai shab hijr kahin teri sahar hai ki nahin
ai shab hijr kahin teri sahar hai ki nahin
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
ai shab hijr kahīñ terī sahar hai ki nahīñ
nāla-e-nīm-shabī tujh meñ asar hai ki nahīñ
jaan par apnī maiñ khelā huuñ judā.ī meñ tirī
be-ḳhabar tujh ko bhī kuchh us kī ḳhabar hai ki nahīñ
ek muddat huī ham vasf-e-kamar karte haiñ
par ye ma.alūm nahīñ us ke kamar hai ki nahīñ
rakh na sozan ko zarā dekh to le ai jarrāh
qābil-e-baḳhiya mirā zaḳhm-e-jigar hai ki nahīñ
kyā ḳhush aa.ī hai dilā manzil-e-hastī tujh ko
sach batā yaañ se tirā azm-e-safar hai ki nahīñ
to jo be-parda ho muñh ġhair ko dikhlātā hai
paas merā bhī kuchh ai rashk-e-qamar hai ki nahīñ
dekh tū ai but-e-be-mehr tirī furqat meñ
har-bun-e-mūe mirā dīda-e-tar hai ki nahīñ
us ke dar par hī jo rahtā huuñ maiñ din raat paḌā
mujh se jhunjhlā ke kahe hai tire ghar hai ki nahīñ
'mus.hafī' us kī galī meñ jo tū jaatā hai sadā
apnī badnāmī kā kuchh tujh ko bhī Dar hai ki nahīñ
ai shab hijr kahin teri sahar hai ki nahin
nala-e-nim-shabi tujh mein asar hai ki nahin
jaan par apni main khela hun judai mein teri
be-KHabar tujh ko bhi kuchh us ki KHabar hai ki nahin
ek muddat hui hum wasf-e-kamar karte hain
par ye malum nahin us ke kamar hai ki nahin
rakh na sozan ko zara dekh to le ai jarrah
qabil-e-baKHiya mera zaKHm-e-jigar hai ki nahin
kya KHush aai hai dila manzil-e-hasti tujh ko
sach bata yan se tera azm-e-safar hai ki nahin
to jo be-parda ho munh ghair ko dikhlata hai
pas mera bhi kuchh ai rashk-e-qamar hai ki nahin
dekh tu ai but-e-be-mehr teri furqat mein
har-bun-e-mue mera dida-e-tar hai ki nahin
us ke dar par hi jo rahta hun main din raat paDa
mujh se jhunjhla ke kahe hai tere ghar hai ki nahin
'mushafi' us ki gali mein jo tu jata hai sada
apni badnami ka kuchh tujh ko bhi Dar hai ki nahin
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.