ai sitam-azma jafa kab tak
ai sitam-āzmā jafā kab tak
kushta-e-zindagī vafā kab tak
garmī-e-koshish-e-jafā kab tak
dāvā-e-shohrat-e-vafā kab tak
ai dil-e-zohd-ḳhū riyā kab tak
nā-murādāna mudda.ā kab tak
ek meñ mil gayā ḳhudā maarā
yuuñ nibāhegā dūsrā kab tak
imtihāñ par ye imtihāñ tā-chand
aazmā āzmā.egā kab tak
hasrat aa.egī dam meñ sau sau baar
ai havas shor-e-marhabā kab tak
qudrat-e-sabr āqibat kitnī
jur.at-e-tāqat-āzmā kab tak
tum samajh jaao merī ḳhāmoshī
na kahūñ kahiye mudda.ā kab tak
kījiye ab mire nibāh kī fikr
yaar sabr-e-gurez-pā kab tak
ḳhvāb meñ bhī vo ā.eñge tā-chand
maiñ milā bhī to yuuñ milā kab tak
dil meñ kab tak tumhāre khaTkūñgā
chashm-e-dushman meñ merī jā kab tak
tandurustī-e-dil hai be-jānī
dard-e-be-dard kī davā kab tak
tark kī saaf us ne goyā.ī
nargis-e-surma-sā ḳhafā kab tak
ai dil-e-be-qarār-o-be-ārām
naala tā-chand tā-kujā kab tak
ai 'qalaq' vasl meñ bhī huuñ nāshād
tāla-e-nā-rasā rasā kab tak
ai sitam-azma jafa kab tak
kushta-e-zindagi wafa kab tak
garmi-e-koshish-e-jafa kab tak
dawa-e-shohrat-e-wafa kab tak
ai dil-e-zohd-KHu riya kab tak
na-muradana muddaa kab tak
ek mein mil gaya KHuda mara
yun nibahega dusra kab tak
imtihan par ye imtihan ta-chand
aazma aazmaega kab tak
hasrat aaegi dam mein sau sau bar
ai hawas shor-e-marhaba kab tak
qudrat-e-sabr aaqibat kitni
jurat-e-taqat-azma kab tak
tum samajh jao meri KHamoshi
na kahun kahiye muddaa kab tak
kijiye ab mere nibah ki fikr
yar sabr-e-gurez-pa kab tak
KHwab mein bhi wo aaenge ta-chand
main mila bhi to yun mila kab tak
dil mein kab tak tumhaare khaTkunga
chashm-e-dushman mein meri ja kab tak
tandurusti-e-dil hai be-jaani
dard-e-be-dard ki dawa kab tak
tark ki saf us ne goyai
nargis-e-surma-sa KHafa kab tak
ai dil-e-be-qarar-o-be-aram
nala ta-chand ta-kuja kab tak
ai 'qalaq' wasl mein bhi hun nashad
tala-e-na-rasa rasa kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.