ai sitam-gar sitam kī baat nahīñ
kam se kam aaj ġham kī baat nahīñ
sub.h-e-nau kā hai zikr mahfil meñ
ab yahāñ shām-e-ġham kī baat nahīñ
saarī duniyā hai mehrbān to kyā
un ke lutf-o-karam kī baat nahīñ
tazkira hai vafā kī manzil kā
raah ke pech-o-ḳham kī baat nahīñ
munhasir hai amal to niyyat par
sirf qaul-o-qasam kī baat nahīñ
zikr shīsha-garoñ kā hai 'rāhī'
pattharoñ ke sanam kī baat nahīñ
ai sitam-gar sitam ki baat nahin
kam se kam aaj gham ki baat nahin
subh-e-nau ka hai zikr mahfil mein
ab yahan sham-e-gham ki baat nahin
sari duniya hai mehrban to kya
un ke lutf-o-karam ki baat nahin
tazkira hai wafa ki manzil ka
rah ke pech-o-KHam ki baat nahin
munhasir hai amal to niyyat par
sirf qaul-o-qasam ki baat nahin
zikr shisha-garon ka hai 'rahi'
pattharon ke sanam ki baat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.