ai subh main ab kahan raha hun
ai sub.h maiñ ab kahāñ rahā huuñ
ḳhvāboñ hī meñ sarf ho chukā huuñ
sab mere baġhair mutma.in hoñ
maiñ sab ke baġhair jī rahā huuñ
kyā hai jo badal ga.ī hai duniyā
maiñ bhī to bahut badal gayā huuñ
go apne hazār naam rakh luuñ
par apne sivā maiñ aur kyā huuñ
maiñ jurm kā e'tirāf kar ke
kuchh aur hai jo chhupā gayā huuñ
maiñ aur faqat usī kī ḳhvāhish
aḳhlāq meñ jhuuT boltā huuñ
ik shaḳhs jo mujh se vaqt le kar
aaj aa na sakā to ḳhush huā huuñ
har shaḳhs se be-niyāz ho jā
phir sab se ye kah ki maiñ ḳhudā huuñ
charke to tujhe diye haiñ maiñ ne
par ḳhuun bhī maiñ hī thūktā huuñ
royā huuñ to apne dostoñ meñ
par tujh se to hañs ke hī milā huuñ
ai shaḳhs maiñ terī justujū se
bezār nahīñ huuñ thak gayā huuñ
maiñ sham'-e-sahar kā naġhma-gar thā
ab thak ke karāhne lagā huuñ
kal par hī rakho vafā kī bāteñ
maiñ aaj bahut bujhā huā huuñ
koī bhī nahīñ hai mujh se nādim
bas tai ye huā ki maiñ burā huuñ
ai subh main ab kahan raha hun
KHwabon hi mein sarf ho chuka hun
sab mere baghair mutmain hon
main sab ke baghair ji raha hun
kya hai jo badal gai hai duniya
main bhi to bahut badal gaya hun
go apne hazar nam rakh lun
par apne siwa main aur kya hun
main jurm ka e'tiraf kar ke
kuchh aur hai jo chhupa gaya hun
main aur faqat usi ki KHwahish
aKHlaq mein jhuT bolta hun
ek shaKHs jo mujh se waqt le kar
aaj aa na saka to KHush hua hun
har shaKHs se be-niyaz ho ja
phir sab se ye kah ki main KHuda hun
charke to tujhe diye hain main ne
par KHun bhi main hi thukta hun
roya hun to apne doston mein
par tujh se to hans ke hi mila hun
ai shaKHs main teri justuju se
bezar nahin hun thak gaya hun
main sham'-e-sahar ka naghma-gar tha
ab thak ke karahne laga hun
kal par hi rakho wafa ki baaten
main aaj bahut bujha hua hun
koi bhi nahin hai mujh se nadim
bas tai ye hua ki main bura hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.