ai tajalli kya hua shewa teri takrar ka
ai tajallī kyā huā sheva tirī takrār kā
mar gayā āḳhir ko ye tālib tire dīdār kā
kyā binā-e-ḳhāna-e-ushshāq be-buniyād hai
Dhal gayā sar se mire saaya tirī dīvār kā
roz beh hotā nazar aatā nahīñ ye zaḳhm-e-dil
dekhiye kyā ho ḳhudā hāfiz hai is bīmār kā
nau-mulāzim lāl-e-lab ko le ga.e tanḳhvāh meñ
be-talab rahtā hai ye naukar tirī sarkār kā
dekh na.iiñ saktā 'fuġhāñ' shādī dil-e-āfat-talab
ye kahāñ se ho gayā mālik mire ghar-bār kā
ai tajalli kya hua shewa teri takrar ka
mar gaya aaKHir ko ye talib tere didar ka
kya bina-e-KHana-e-ushshaq be-buniyaad hai
Dhal gaya sar se mere saya teri diwar ka
roz beh hota nazar aata nahin ye zaKHm-e-dil
dekhiye kya ho KHuda hafiz hai is bimar ka
nau-mulazim lal-e-lab ko le gae tanKHwah mein
be-talab rahta hai ye naukar teri sarkar ka
dekh nain sakta 'fughan' shadi dil-e-afat-talab
ye kahan se ho gaya malik mere ghar-bar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.