ai zabt dekh ishq ki un ko KHabar na ho
ai zabt dekh 'ishq kī un ko ḳhabar na ho
dil meñ hazār dard uThe aañkh tar na ho
muddat meñ shām-e-vasl huī hai mujhe nasīb
do-chār saal tak to ilāhī sahar na ho
ik phuul hai gulāb kā aaj un ke haath meñ
dhaḌkā mujhe ye hai ki kisī kā jigar na ho
DhūñDe se bhī na ma.ani-e-bārīk jab milā
dhokā huā ye mujh ko ki us kī kamar na ho
ulfat kī kyā umiid vo aisā hai bevafā
sohbat hazār saal rahe kuchh asar na ho
tūl-e-shab-e-visāl ho misl-e-shab-e-firāq
nikle na āftāb ilāhī sahar na ho
ai zabt dekh 'ishq ki un ko KHabar na ho
dil mein hazar dard uThe aankh tar na ho
muddat mein sham-e-wasl hui hai mujhe nasib
do-chaar sal tak to ilahi sahar na ho
ek phul hai gulab ka aaj un ke hath mein
dhaDka mujhe ye hai ki kisi ka jigar na ho
DhunDe se bhi na mani-e-barik jab mila
dhoka hua ye mujh ko ki us ki kamar na ho
ulfat ki kya umid wo aisa hai bewafa
sohbat hazar sal rahe kuchh asar na ho
tul-e-shab-e-visal ho misl-e-shab-e-firaq
nikle na aaftab ilahi sahar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.