aib to honge chand tare mein
aib to hoñge chāñd taare meñ
sochiye aap apne baare meñ
itnā kah do ki apne tak rakhiye
phail jā.egī baat saare meñ
aur dilkash huī haiñ nam āñkheñ
mīThī lagtī haiñ aur khāre meñ
apnī karte haiñ dil zamīr-o-zehan
saare afsar haiñ is idāre meñ
uljhanoñ se najāt pinhāñ hai
ik bharose meñ ik ishāre meñ
sab parakhne ko hai kamī-beshī
sab usī kā mire tumhāre meñ
aise phirte haiñ shām-e-tanhā meñ
jaise halkī havā ġhubāre meñ
us kī qudrat kā mo'tarif hai 'sabā'
vo nazar meñ vahī nazāre meñ
aib to honge chand tare mein
sochiye aap apne bare mein
itna kah do ki apne tak rakhiye
phail jaegi baat sare mein
aur dilkash hui hain nam aankhen
miThi lagti hain aur khaare mein
apni karte hain dil zamir-o-zehan
sare afsar hain is idare mein
uljhanon se najat pinhan hai
ek bharose mein ek ishaare mein
sab parakhne ko hai kami-beshi
sab usi ka mere tumhaare mein
aise phirte hain sham-e-tanha mein
jaise halki hawa ghubare mein
us ki qudrat ka mo'tarif hai 'saba'
wo nazar mein wahi nazare mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.