ye shabnam phuul taare chāñdnī meñ aks kis kā hai
sunahrī dhuup chhāñv raushnī meñ aks kis kā hai
ye Dhaltī shaam ye qaus-e-quzah kī rañg-āmezī
ye niile āsmāñ kī dilkashī meñ aks kis kā hai
suhānī shab liye āġhosh meñ ḳhvāboñ kī pariyoñ ko
chamakte din kī is afsūñ-garī meñ aks kis kā hai
anā kī sar-kashī ummīd-e-armāñ ḳhvāb kī duniyā
dhaḌakte dil fusūn-e-zindagī meñ aks kis kā hai
ye 'sayyad' ḳhvāb se tarshe hue nāzuk hasīñ paikar
nuqūsh-e-rashk-e-sehr-e-sāmrī meñ aks kis kā hai
ye shabnam phul tare chandni mein aks kis ka hai
sunahri dhup chhanw raushni mein aks kis ka hai
ye Dhalti sham ye qaus-e-quzah ki rang-amezi
ye nile aasman ki dilkashi mein aks kis ka hai
suhani shab liye aaghosh mein KHwabon ki pariyon ko
chamakte din ki is afsun-gari mein aks kis ka hai
ana ki sar-kashi ummid-e-arman KHwab ki duniya
dhaDakte dil fusun-e-zindagi mein aks kis ka hai
ye 'sayyad' KHwab se tarshe hue nazuk hasin paikar
nuqush-e-rashk-e-sehr-e-samri mein aks kis ka hai
Source :
- Book : Ketni Haqeeqat Ketna Khwaab (Pg. 15)
- Author : Sayed Shakeel Desnavi
-
Publication : Adshot Publications,
(2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.