Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ain mumkin hai aziyyat se nikal aaenge

Danish Hayat

ain mumkin hai aziyyat se nikal aaenge

Danish Hayat

MORE BYDanish Hayat

    'ain mumkin hai aziyyat se nikal ā.eñge

    ham tire baa'd mohabbat se nikal ā.eñge

    tum bhī dekho kabhī dīvār tak aayā huā dasht

    aable aañkh meñ vahshat se nikal ā.eñge

    ham bhī phir ghar se nikal ā.eñge siiTī le kar

    aur parinde bhī sharārat se nikal ā.eñge

    dost kāñToñ ko bichhāte hue thak jā.eñge

    aur ham log mahārat se nikal ā.eñge

    saath chhoḌeñge nahīñ ham tirā aadam tarah

    pīchhe pīchhe tire jannat se nikal ā.eñge

    'ain mumkin hai aziyyat se nikal aaenge

    hum tere ba'd mohabbat se nikal aaenge

    tum bhi dekho kabhi diwar tak aaya hua dasht

    aable aankh mein wahshat se nikal aaenge

    hum bhi phir ghar se nikal aaenge siTi le kar

    aur parinde bhi shararat se nikal aaenge

    dost kanTon ko bichhate hue thak jaenge

    aur hum log mahaarat se nikal aaenge

    sath chhoDenge nahin hum tera aadam ki tarah

    pichhe pichhe tere jannat se nikal aaenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now