ain mumkin hai meri baat zara si nikle
ain mumkin hai mirī baat zarā sī nikle
koī tasvīr mire dil se tumhārī nikle
aaj āñgan meñ tire hijr kā sūraj niklā
aaj mumkin hai mire zaḳhm se kirchī nikle
us ne is shart pe rone kī ijāzat dī hai
aah nikle na laboñ se koī siskī nikle
jāñ-kanī vo ki farishte bhī panāheñ māñge
aap aa.eñ to mirī āḳhirī hichkī nikle
aise niklā hai mire baḳht kā taarā dekho
haath se TuuT ke beva ke jyuuñ chūḌī nikle
koī aa.e mire jiine kā sahārā ban kar
shāḳh se phuuT ke koñpal koī aisī nikle
aaj phir dil meñ tire diid kī hasrat jaagī
kaash phir kaam koī tujh se zarūrī nikle
ain mumkin hai meri baat zara si nikle
koi taswir mere dil se tumhaari nikle
aaj aangan mein tere hijr ka suraj nikla
aaj mumkin hai mere zaKHm se kirchi nikle
us ne is shart pe rone ki ijazat di hai
aah nikle na labon se koi siski nikle
jaan-kani wo ki farishte bhi panahen mange
aap aaen to meri aaKHiri hichki nikle
aise nikla hai mere baKHt ka tara dekho
hath se TuT ke bewa ke jyun chuDi nikle
koi aae mere jine ka sahaara ban kar
shaKH se phuT ke konpal koi aisi nikle
aaj phir dil mein tere did ki hasrat jagi
kash phir kaam koi tujh se zaruri nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.