Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aisa bhi nahin bhule se KHwahish hi nahin ki

Khalid Iqbal Yasir

aisa bhi nahin bhule se KHwahish hi nahin ki

Khalid Iqbal Yasir

MORE BYKhalid Iqbal Yasir

    aisā bhī nahīñ bhūle se ḳhvāhish nahīñ

    paane use shauq se koshish nahīñ

    us ne tabhī nirvān ke qābil nahīñ jaanā

    us but dil-o-jāñ se parastish nahīñ

    barsā vo mire jote hue khet pe ik baar

    bādal ne palaT kar kabhī bārish nahīñ

    us husn-e-mujassam ko shikāyat hai ki maiñ ne

    ġhairoñ tarah us satā.ish nahīñ

    maiñ sāmne us shaḳhs ke dil khol ke rakhtā

    ahvāl us ne kabhī pursish nahīñ

    haq par mire hone meñ koī shak to nahīñ thā

    is martaba kyā jaan ke nālish nahīñ

    masnad mujhe darbār meñ miltī bhī to kaise

    mil kar kisī darbārī se sāzish nahīñ

    shāyad ki ḳhushāmad se qalam rok na paatā

    nāhaq kisī hākim ne navāzish nahīñ

    aisa bhi nahin bhule se KHwahish hi nahin ki

    pane ki use shauq se koshish hi nahin ki

    us ne tabhi nirwan ke qabil nahin jaana

    us but ki dil-o-jaan se parastish hi nahin ki

    barsa wo mere jote hue khet pe ek bar

    baadal ne palaT kar kabhi barish hi nahin ki

    us husn-e-mujassam ko shikayat hai ki main ne

    ghairon ki tarah us ki sataish hi nahin ki

    main samne us shaKHs ke dil khol ke rakhta

    ahwal ki us ne kabhi pursish hi nahin ki

    haq par mere hone mein koi shak to nahin tha

    is martaba kya jaan ke nalish hi nahin ki

    masnad mujhe darbar mein milti bhi to kaise

    mil kar kisi darbari se sazish hi nahin ki

    shayad ki KHushamad se qalam rok na pata

    nahaq kisi hakim ne nawazish hi nahin ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now