aisa ek maqam ho jis mein dil jaisi virani ho
aisā ek maqām ho jis meñ dil jaisī vīrānī ho
yādoñ jaisī tez havā ho dard se gahrā paanī ho
ek sitāra raushan ho jo kabhī na bujhne vaalā ho
rasta jānā-pahchānā ho raat bahut an-jānī ho
vo ik pal jo biit gayā us meñ hī raheñ to achchhā hai
kyā ma.alūm jo pal aa.e vo faanī ho lāfānī ho
manzar dekhne vaalā ho par koī na dekhne vaalā ho
koī na dekhne vaalā ho aur duur talak hairānī ho
ek ajiib samāñ ho jaise sher 'munīr'-niyāzī kā
ek taraf ābādī ho aur ek taraf vīrānī ho
aisa ek maqam ho jis mein dil jaisi virani ho
yaadon jaisi tez hawa ho dard se gahra pani ho
ek sitara raushan ho jo kabhi na bujhne wala ho
rasta jaana-pahchana ho raat bahut an-jaani ho
wo ek pal jo bit gaya us mein hi rahen to achchha hai
kya malum jo pal aae wo fani ho lafani ho
manzar dekhne wala ho par koi na dekhne wala ho
koi na dekhne wala ho aur dur talak hairani ho
ek ajib saman ho jaise sher 'munir'-niyazi ka
ek taraf aabaadi ho aur ek taraf virani ho
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 23.02.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.