aisa lagta hai samajhdar hai duniya sari
aisā lagtā hai samajhdār hai duniyā saarī
maiñ huuñ is paar to us paar hai duniyā saarī
is na.ī dauḌ meñ aage hai na pīchhe koī
dām-e-ujlat meñ giraftār hai duniyā saarī
dostī aur dikhāve kī mohabbat karnā
sab kā sheva hai adākār hai duniyā saarī
qāfile dil ke sar-e-ām haiñ luuTe jis ne
usī rahzan kī talabgār hai duniyā saarī
aap andāz kuchh apnā to badal lete 'faroġh'
chaliye maanā ki ḳhatāvār hai duniyā saarī
aisa lagta hai samajhdar hai duniya sari
main hun is par to us par hai duniya sari
is nai dauD mein aage hai na pichhe koi
dam-e-ujlat mein giraftar hai duniya sari
dosti aur dikhawe ki mohabbat karna
sab ka shewa hai adakar hai duniya sari
qafile dil ke sar-e-am hain luTe jis ne
usi rahzan ki talabgar hai duniya sari
aap andaz kuchh apna to badal lete 'farogh'
chaliye mana ki KHatawar hai duniya sari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.