aisa lagta hai wo nadan samajhte hain mujhe
aisā lagtā hai vo nādān samajhte haiñ mujhe
jo bhī tafrīh kā sāmān samajhte haiñ mujhe
ḳhairiyat bhī mirī mā'lūm nahīñ karte haiñ
is-qadar log pareshān samajhte haiñ mujhe
shahr se aao to aane kā sabab pūchhte haiñ
gaañv ke log bhī mehmān samajhte haiñ mujhe
is liye merī ḳhushāmad nahīñ kartā koī
sab manānā bahut āsān samajhte haiñ mujhe
maiñ huuñ fankār to fankār hī samjhā jaa.e
aap kyoñ hindū musalmān samajhte haiñ mujhe
maiñ ne har zaḳhm pe marham kī numā.ish kī hai
jaane kyoñ log namakdān samajhte haiñ mujhe
log kyā kahte haiñ parvāh nahīñ hai 'ālam'
itnā kaafī hai ki insān samajhte haiñ mujhe
aisa lagta hai wo nadan samajhte hain mujhe
jo bhi tafrih ka saman samajhte hain mujhe
KHairiyat bhi meri ma'lum nahin karte hain
is-qadar log pareshan samajhte hain mujhe
shahr se aao to aane ka sabab puchhte hain
ganw ke log bhi mehman samajhte hain mujhe
is liye meri KHushamad nahin karta koi
sab manana bahut aasan samajhte hain mujhe
main hun fankar to fankar hi samjha jae
aap kyon hindu musalman samajhte hain mujhe
main ne har zaKHm pe marham ki numaish ki hai
jaane kyon log namakdan samajhte hain mujhe
log kya kahte hain parwah nahin hai 'alam'
itna kafi hai ki insan samajhte hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.