aisa naghma mere sitar mein hai
aisā naġhma mire sitār meñ hai
jis ko dekho vahī hisār meñ hai
aa.ine par hai dhuul maazī kī
merā chehra abhī ġhubār meñ hai
ik laraztā badan thakā haarā
āḳhirī bus ke intizār meñ hai
Dhal ga.iiñ nafrateñ fazāoñ kī
dil mohabbat ke ābshār meñ hai
peḌ tālāb aur hare manzar
kitnī ma.asūmiyat dayār meñ hai
aisa naghma mere sitar mein hai
jis ko dekho wahi hisar mein hai
aaine par hai dhul mazi ki
mera chehra abhi ghubar mein hai
ek larazta badan thaka haara
aaKHiri bus ke intizar mein hai
Dhal gain nafraten fazaon ki
dil mohabbat ke aabshaar mein hai
peD talab aur hare manzar
kitni masumiyat dayar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.