aisa tufan hai ki sahil ka nazara bhi nahin
aisā tūfāñ hai ki sāhil kā nazāra bhī nahīñ
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā bhī nahīñ
kī duā dushman ne āḳhir maiñ na kahtā thā tumheñ
dost jo merā nahīñ hai vo tumhārā bhī nahīñ
Dūbte dekhā jo tūfāñ meñ nigāheñ pher liiñ
dostoñ ne mujh ko sāhil se pukārā bhī nahīñ
ai nigāh-e-shauq nazzāra ye nazzāra hai kyā
āshkārā bhī hai jalva āshkārā bhī nahīñ
aas rakhtā hai karam kī ho ke mahrūm-e-karam
be-sahārā bhī hai 'purnam' be-sahārā bhī nahīñ
aisa tufan hai ki sahil ka nazara bhi nahin
Dubne wale ko tinke ka sahaara bhi nahin
ki dua dushman ne aaKHir main na kahta tha tumhein
dost jo mera nahin hai wo tumhaara bhi nahin
Dubte dekha jo tufan mein nigahen pher lin
doston ne mujh ko sahil se pukara bhi nahin
ai nigah-e-shauq nazzara ye nazzara hai kya
aashkara bhi hai jalwa aashkara bhi nahin
aas rakhta hai karam ki ho ke mahrum-e-karam
be-sahaara bhi hai 'purnam' be-sahaara bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.