aise be-mehr zamane se wafa mangta hai
aise be-mehr zamāne se vafā māñgtā hai
dil bhī saada hai ḳhalāoñ meñ havā māñgtā hai
us kā ham ishq-parastoñ se taqābul kaisā
shaiḳh to apnī ibādat kā sila māñgtā hai
jā kisī aur se le nisbat-e-aflāk miyāñ
ham zamīñ-zād faqīroñ se ye kyā māñgtā hai
mohtasib dāman-e-ta.azīr kushāda rakhnā
shahr kā shahr baġhāvat kī sazā māñgtā hai
ḳhauf itnā hai ki bāzāroñ ke siine sākit
qarya qarya kisī bāġhī kī sadā māñgtā hai
laakh samjhā.ūñ mohabbat kī jhalak paate hī
dil vo tarsā huā saa.il hai ki jā māñgtā hai
kuchh na mil paa.e to majbūr tabī.at insāñ
masjid-o-dair-o-kalīsā se duā māñgtā hai
merī āñkheñ tire chehre kī tamāzat chāheñ
merā chehra tire āñchal kī havā māñgtā hai
tujh se jiine ke jo asbāb talab kartā thā
ab vo jī-jān se marne kī duā māñgtā hai
aise be-mehr zamane se wafa mangta hai
dil bhi sada hai KHalaon mein hawa mangta hai
us ka hum ishq-paraston se taqabul kaisa
shaiKH to apni ibaadat ka sila mangta hai
ja kisi aur se le nisbat-e-aflak miyan
hum zamin-zad faqiron se ye kya mangta hai
mohtasib daman-e-tazir kushada rakhna
shahr ka shahr baghawat ki saza mangta hai
KHauf itna hai ki bazaron ke sine sakit
qarya qarya kisi baghi ki sada mangta hai
lakh samjhaun mohabbat ki jhalak pate hi
dil wo tarsa hua sail hai ki ja mangta hai
kuchh na mil pae to majbur tabiat insan
masjid-o-dair-o-kalisa se dua mangta hai
meri aankhen tere chehre ki tamazat chahen
mera chehra tere aanchal ki hawa mangta hai
tujh se jine ke jo asbab talab karta tha
ab wo ji-jaan se marne ki dua mangta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.