aise bimar ki dawa kya hai
aise bīmār kī davā kyā hai
jo batātā nahīñ huā kyā hai
kaun suntā hai is zamāne meñ
kis se kahiye ki iltijā kyā hai
lab-e-bīmār thartharāte haiñ
jhuk ke suniye zarā du'ā kyā hai
mujh ko jo dekhtā hai rotā hai
koī kyā jaane mājrā kyā hai
hazrat-e-ḳhizr bhī batā na sake
zindagānī kā mudda'ā kyā hai
dard par dūsroñ ke hañs denā
ye bhī achchhā hai to burā kyā hai
faḳhr-e-ḳhātūn-e-hind hai 'ismat'
ham se pūchhe koī vafā kyā hai
aise bimar ki dawa kya hai
jo batata nahin hua kya hai
kaun sunta hai is zamane mein
kis se kahiye ki iltija kya hai
lab-e-bimar thartharaate hain
jhuk ke suniye zara du'a kya hai
mujh ko jo dekhta hai rota hai
koi kya jaane majra kya hai
hazrat-e-KHizr bhi bata na sake
zindagani ka mudda'a kya hai
dard par dusron ke hans dena
ye bhi achchha hai to bura kya hai
faKHr-e-KHatun-e-hind hai 'ismat'
hum se puchhe koi wafa kya hai
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 195)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.