aise chup chup bhi kya jiya jae
aise chup chup bhī kyā jiyā jaa.e
ab kahīñ ishq hī kiyā jaa.e
dil ke shīshe pe hai ġhubār bahut
aaj kuchh der ro liyā jaa.e
ajnabī shahr be-namak chehre
kise ham-rāz-e-dil kiyā jaa.e
habs kī pyaas hai bujhegī kahāñ
āb-e-haivāñ hī go piyā jaa.e
dil hai vīrān shahr bhī ḳhāmosh
phone hī us ko kar liyā jaa.e
ek dīvār-e-jism baaqī hai
ab use bhī girā diyā jaa.e
ho gayā taar taar har manzar
'shām' chāk-e-nazar siyā jaa.e
aise chup chup bhi kya jiya jae
ab kahin ishq hi kiya jae
dil ke shishe pe hai ghubar bahut
aaj kuchh der ro liya jae
ajnabi shahr be-namak chehre
kise ham-raaz-e-dil kiya jae
habs ki pyas hai bujhegi kahan
aab-e-haiwan hi go piya jae
dil hai viran shahr bhi KHamosh
phone hi us ko kar liya jae
ek diwar-e-jism baqi hai
ab use bhi gira diya jae
ho gaya tar tar har manzar
'sham' chaak-e-nazar siya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.