aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise
aise chup haiñ ki ye manzil bhī kaḌī ho jaise
terā milnā bhī judā.ī kī ghaḌī ho jaise
apne hī saa.e se har gaam laraz jaatā huuñ
rāste meñ koī dīvār khaḌī ho jaise
kitne nādāñ haiñ tire bhūlne vaale ki tujhe
yaad karne ke liye umr paḌī ho jaise
tere māthe kī shikan pahle bhī dekhī thī magar
ye girah ab ke mire dil meñ paḌī ho jaise
manzileñ duur bhī haiñ manzileñ nazdīk bhī haiñ
apne hī paañv meñ zanjīr paḌī ho jaise
aaj dil khol ke ro.e haiñ to yuuñ ḳhush haiñ 'farāz'
chand lamhoñ kī ye rāhat bhī baḌī ho jaise
aise chup hain ki ye manzil bhi kaDi ho jaise
tera milna bhi judai ki ghaDi ho jaise
apne hi sae se har gam laraz jata hun
raste mein koi diwar khaDi ho jaise
kitne nadan hain tere bhulne wale ki tujhe
yaad karne ke liye umr paDi ho jaise
tere mathe ki shikan pahle bhi dekhi thi magar
ye girah ab ke mere dil mein paDi ho jaise
manzilen dur bhi hain manzilen nazdik bhi hain
apne hi panw mein zanjir paDi ho jaise
aaj dil khol ke roe hain to yun KHush hain 'faraaz'
chand lamhon ki ye rahat bhi baDi ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.