aise chup rah ke faeda kya hai
aise chup rah ke fā.eda kyā hai
kuchh to kahiye ki mājrā kyā hai
un se shikva hai kyā gilā kyā hai
jo nahīñ jānte vafā kyā hai
jab na armāñ na aarzū koī
dil bachā bhī to phir bachā kyā hai
ab to āñkhoñ meñ aa ga.e aañsū
ab kisī se Dhakā-chhupā kyā hai
kis kī manzil hai is ḳharābe meñ
dil-e-nādāñ tū DhūñDhtā kyā hai
aa.ina dekh lo batā degā
sach hai kitnā muġhālta kyā hai
ek chehra hai aañkh meñ har-dam
dil se pūchheñ mo.āmla kyā hai
ye bhī 'ġhālib' kā faiz hai 'kāvish'
maiñ ne jo kuchh kahā kahā kyā hai
aise chup rah ke faeda kya hai
kuchh to kahiye ki majra kya hai
un se shikwa hai kya gila kya hai
jo nahin jaante wafa kya hai
jab na arman na aarzu koi
dil bacha bhi to phir bacha kya hai
ab to aankhon mein aa gae aansu
ab kisi se Dhaka-chhupa kya hai
kis ki manzil hai is KHarabe mein
dil-e-nadan tu DhunDhta kya hai
aaina dekh lo bata dega
sach hai kitna mughaalta kya hai
ek chehra hai aankh mein har-dam
dil se puchhen moamla kya hai
ye bhi 'ghaalib' ka faiz hai 'kawish'
main ne jo kuchh kaha kaha kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.