aise darkinar ho gae
aise darkinār ho ga.e
hāshiye ke paar ho ga.e
kyā thī vo judā.ī kī ḳhabar
lafz taar taar ho ga.e
barsoñ ba.ad ye patā chalā
ham kahīñ shikār ho ga.e
tere ba.ad kyā batā.eñ ham
kaise be-hisār ho ga.e
ik tirī sadā ne kyā chhuā
dard be-qatār ho ga.e
aise darkinar ho gae
hashiye ke par ho gae
kya thi wo judai ki KHabar
lafz tar tar ho gae
barson baad ye pata chala
hum kahin shikar ho gae
tere baad kya bataen hum
kaise be-hisar ho gae
ek teri sada ne kya chhua
dard be-qatar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.