aise gum-sum wo sochte kya the
aise gum-sum vo sochte kyā the
jaane yāroñ ke faisle kyā the
ham to yuuñ hī ruke rahe varna
apne aage vo fāsle kyā the
bojh dil kā utārnā thā zarā
varna tum se hameñ gile kyā the
sahrā sahrā liye phire ham ko
vo junūñ ke bhī silsile kyā the
duur tak thī na gar koī manzil
phir vo ujle nishān se kyā the
ham hī the jo yaqīn kar baiThe
varna un ke vo mo.ajize kyā the
sar-phire the ki masḳhare yaaro
jo hameñ yuuñ liye phire kyā the
aise gum-sum wo sochte kya the
jaane yaron ke faisle kya the
hum to yun hi ruke rahe warna
apne aage wo fasle kya the
bojh dil ka utarna tha zara
warna tum se hamein gile kya the
sahra sahra liye phire hum ko
wo junun ke bhi silsile kya the
dur tak thi na gar koi manzil
phir wo ujle nishan se kya the
hum hi the jo yaqin kar baiThe
warna un ke wo moajize kya the
sar-phire the ki masKHare yaro
jo hamein yun liye phire kya the
- Book : Lahar Lahar (Pg. 47)
- Author : Balbir Rathee
- Publication : Kadambari Prakashan, Delhi (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.