aise hairan hain ki hairat ki koi had hi nahin
aise hairāñ haiñ ki hairat kī koī had hī nahīñ
aks TuuTā hai magar aa.ine pe zad hī nahīñ
ham tire zarf kī qāmat se bahut chhoTe haiñ
tere rutbe ke barābar to yahāñ qad hī nahīñ
ab yahī āḳhirī hal hai ki madīne pahuñchūñ
ik vahī dar hai ki jis dar pe koī rad hī nahīñ
har buḌhāpe ko buzurgī bhī nahīñ mil saktī
tañg-galiyoñ ke nasīboñ meñ ye bargad hī nahīñ
apne lahje ke talaffuz se ye tashdīd haTā
dekh alfāz ke chehroñ pe kahīñ shad hī nahīñ
aise hairan hain ki hairat ki koi had hi nahin
aks TuTa hai magar aaine pe zad hi nahin
hum tere zarf ki qamat se bahut chhoTe hain
tere rutbe ke barabar to yahan qad hi nahin
ab yahi aaKHiri hal hai ki madine pahunchun
ek wahi dar hai ki jis dar pe koi rad hi nahin
har buDhape ko buzurgi bhi nahin mil sakti
tang-galiyon ke nasibon mein ye bargad hi nahin
apne lahje ke talaffuz se ye tashdid haTa
dekh alfaz ke chehron pe kahin shad hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.