aise hasin ke ishq mein hai be-qarar dil
aise hasin ke ishq mein hai be-qarar dil
Nawab Umrao Bahadur Diler
MORE BYNawab Umrao Bahadur Diler
aise hasīñ ke ishq meñ hai be-qarār dil
sadqe haiñ jis kī ek adā par hazār dil
jab māñgte haiñ sab sanam-e-rozgār dil
itne kahāñ se lā.ūñ maiñ parvardigār dil
bezār zindagī se hai lail-o-nahār dil
jis roz se huzūr ko kartā hai pyaar dil
kyā sochte ho us ko nishāna batāo tum
hai nāvak-e-mizha kā tumhāre shikār dil
bauchhār ho rahī hai jo tīr-e-nigāh kī
siina hai chāk-chāk hamārā figār dil
ġhamza ko duuñ karishma-e-nāz-o-adā ko duuñ
kis tarah ek dil ke baneñ tiin chaar dil
kyā kyā uThā.īñ hijr-e-sanam meñ musībateñ
barsoñ rahā hai aaTh pahar be-qarār dil
dafn is meñ kushta ho ke huiiñ kitnī hasrateñ
madfan banā hai siina to lauh-e-mazār dil
zāhid ḳhayāl-e-yār to har-dam hai jāguzīñ
kyūñkar karūñ maiñ hūr-e-jināñ par nisār dil
karne lagā hai mujh se bahut kaj-adā.iyāñ
ab but huā hai jaise tirā rāzdār dil
Thahrā na ek dam kabhī soz-e-firāq meñ
sīmāb-vār apnā rahā be-qarār dil
dekhā koī hasīn to kyā kyā phaḌak uThā
bechain ho gayā mirā be-iḳhtiyār dil
bhūlā hai terī yaad butoñ ke ḳhayāl meñ
aisā diyā thā kyoñ mujhe parvardigār dil
aao jo mere ghar meñ to sau jaan se karūñ
chitvan par aañkh sadqe adā par nisār dil
hotā nahīñ hai eid ko bhī ġham ġhalat 'diler'
yārān-e-raftagāñ kā banā sogvār dil
aise hasin ke ishq mein hai be-qarar dil
sadqe hain jis ki ek ada par hazar dil
jab mangte hain sab sanam-e-rozgar dil
itne kahan se laun main parwardigar dil
bezar zindagi se hai lail-o-nahaar dil
jis roz se huzur ko karta hai pyar dil
kya sochte ho us ko nishana batao tum
hai nawak-e-mizha ka tumhaare shikar dil
bauchhaar ho rahi hai jo tir-e-nigah ki
sina hai chaak-chaak hamara figar dil
ghamza ko dun karishma-e-naz-o-ada ko dun
kis tarah ek dil ke banen tin chaar dil
kya kya uThain hijr-e-sanam mein musibaten
barson raha hai aaTh pahar be-qarar dil
dafn is mein kushta ho ke huin kitni hasraten
madfan bana hai sina to lauh-e-mazar dil
zahid KHayal-e-yar to har-dam hai jaguzin
kyunkar karun main hur-e-jinan par nisar dil
karne laga hai mujh se bahut kaj-adaiyan
ab but hua hai jaise tera raazdar dil
Thahra na ek dam kabhi soz-e-firaq mein
simab-war apna raha be-qarar dil
dekha koi hasin to kya kya phaDak uTha
bechain ho gaya mera be-iKHtiyar dil
bhula hai teri yaad buton ke KHayal mein
aisa diya tha kyon mujhe parwardigar dil
aao jo mere ghar mein to sau jaan se karun
chitwan par aankh sadqe ada par nisar dil
hota nahin hai eid ko bhi gham ghalat 'diler'
yaran-e-raftagan ka bana sogwar dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.