aise hi kai shor machate hue dariya
aise hī ka.ī shor machāte hue dariyā
āñkhoñ se bahe josh meñ aate hue dariyā
ik ḳhaak kī naao kā safar jaarī hai phir bhī
muñh-zor haiñ go jhaag uḌāte hue dariyā
kyā mere dar-o-bām kā afsos thā us ko
kyoñ dekh rahā thā mujhe jaate hue dariyā
phūloñ se bharī shāḳh ko kal chheḌ rahā thā
apne hī pasīne meñ nahāte hue dariyā
aa.e the masāfat ko chhupā.e hue lekin
phir nauha-ba-lab ho ga.e gaate hue dariyā
aise hi kai shor machate hue dariya
aankhon se bahe josh mein aate hue dariya
ek KHak ki nao ka safar jari hai phir bhi
munh-zor hain go jhag uDate hue dariya
kya mere dar-o-baam ka afsos tha us ko
kyon dekh raha tha mujhe jate hue dariya
phulon se bhari shaKH ko kal chheD raha tha
apne hi pasine mein nahate hue dariya
aae the masafat ko chhupae hue lekin
phir nauha-ba-lab ho gae gate hue dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.