aise hi nahin itni ye shauqin hui hai
aise hī nahīñ itnī ye shauqīn huī hai
tahrīr mirī ḳhuun se rañgīn huī hai
ai aql-e-gunahgār tirī baat meñ aa kar
shahar-e-dil-e-jazbāt kī tauhīn huī hai
guzregī qayāmat abhī ik samt gumāñ se
āñkhoñ ko khulā rakhne kī talqīn huī hai
is shahr-e-dil-āzār ke har kūche galī meñ
ḳhvāboñ kī baḌī dhuum se tadfīn huī hai
uThtā hai dīvānoñ kā yahāñ roz janāza
ai arz-e-vatan tū bhī filistīn huī hai
huuñ is liye 'gulfām' shagufta maiñ guloñ se
kāñToñ se mire husn kī taz.īn huī hai
aise hi nahin itni ye shauqin hui hai
tahrir meri KHun se rangin hui hai
ai aql-e-gunahgar teri baat mein aa kar
shahar-e-dil-e-jazbaat ki tauhin hui hai
guzregi qayamat abhi ek samt guman se
aankhon ko khula rakhne ki talqin hui hai
is shahr-e-dil-azar ke har kuche gali mein
KHwabon ki baDi dhum se tadfin hui hai
uThta hai diwanon ka yahan roz janaza
ai arz-e-watan tu bhi filistin hui hai
hun is liye 'gulfam' shagufta main gulon se
kanTon se mere husn ki tazin hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.