aise hijr ke mausam kab kab aate hain
aise hijr ke mausam kab kab aate haiñ
tere alāva yaad hameñ sab aate haiñ
jāgtī āñkhoñ se bhī dekho duniyā ko
ḳhvāboñ kā kyā hai vo har shab aate haiñ
jazb kare kyuuñ ret hamārī ashkoñ ko
terā dāman tar karne ab aate haiñ
ab vo safar kī taab nahīñ baaqī varna
ham ko bulāve dasht se jab tab aate haiñ
kāġhaz kī kashtī meñ dariyā paar kiyā
dekho ham ko kyā kyā kartab aate haiñ
aise hijr ke mausam kab kab aate hain
tere alawa yaad hamein sab aate hain
jagti aankhon se bhi dekho duniya ko
KHwabon ka kya hai wo har shab aate hain
jazb kare kyun ret hamari ashkon ko
tera daman tar karne ab aate hain
ab wo safar ki tab nahin baqi warna
hum ko bulawe dasht se jab tab aate hain
kaghaz ki kashti mein dariya par kiya
dekho hum ko kya kya kartab aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.