aise mantar bhi ho gae ijad
aise mantar bhī ho ga.e ījād
laxmī bhī sarasvatī bhī milī
vo jo ham-manzilī nahīñ bhūle
un ko taufīq-e-ham-ravī bhī milī
dushmanoñ hī se dushmanī bhī milī
aur dar-parda rahbarī bhī milī
dost hī jaan ko bhī aate rahe
dostoñ hī se zindagī bhī milī
apne pyāroñ se pyaar ham ko to thā
rañj paa.e magar ḳhushī bhī milī
justujū kī mazīd baḳhshī dekh
gul jo DhūñDā bakāvlī bhī milī
zindagī thī faqat nasheb-o-farāz
yā kabhī sat.h-e-mustavī bhī milī
mūslā-dhār ne.amateñ barsīñ
un meñ kotāh-dāmanī bhī milī
aise mantar bhi ho gae ijad
laxmi bhi saraswati bhi mili
wo jo ham-manzili nahin bhule
un ko taufiq-e-ham-rawi bhi mili
dushmanon hi se dushmani bhi mili
aur dar-parda rahbari bhi mili
dost hi jaan ko bhi aate rahe
doston hi se zindagi bhi mili
apne pyaron se pyar hum ko to tha
ranj pae magar KHushi bhi mili
justuju ki mazid baKHshi dekh
gul jo DhunDa bakawli bhi mili
zindagi thi faqat nasheb-o-faraaz
ya kabhi sath-e-mustawi bhi mili
musla-dhaar neamaten barsin
un mein kotah-damani bhi mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.