aise raste pe aa gaya hun main
aise raste pe aa gayā huuñ maiñ
jaise patthar koī hai yā huuñ maiñ
us ne pūchhā hayāt kā qissa
kyā batā.ūñgā sochtā huuñ maiñ
vaqt ghaḌiyoñ ke darmiyāñ hai kahīñ
saare mehvar pe ghūmtā huuñ maiñ
mujh se pūchho na mājrā dil kā
reza-reza judā judā huuñ maiñ
mujh se kahtī hai merī ḳhāmoshī
shor kartā huuñ chīḳhtā huuñ maiñ
ab to ik naam hai zamāne meñ
ab to naqshe pe aa gayā huuñ maiñ
mere andar hazār-hā chehre
kitnā marbūt aa.ina huuñ meñ
ishq kartā hai apnī man-mānī
tum samajhte ho sar-phirā huuñ maiñ
kis ne mujh ko 'adam' pukārā hai
kis kā lahja hai dekhtā huuñ maiñ
aise raste pe aa gaya hun main
jaise patthar koi hai ya hun main
us ne puchha hayat ka qissa
kya bataunga sochta hun main
waqt ghaDiyon ke darmiyan hai kahin
sare mehwar pe ghumta hun main
mujh se puchho na majra dil ka
reza-reza juda juda hun main
mujh se kahti hai meri KHamoshi
shor karta hun chiKHta hun main
ab to ek nam hai zamane mein
ab to naqshe pe aa gaya hun main
mere andar hazar-ha chehre
kitna marbut aaina hun mein
ishq karta hai apni man-mani
tum samajhte ho sar-phira hun main
kis ne mujh ko 'adam' pukara hai
kis ka lahja hai dekhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.