aise sahra se na rishta ban jae
aise sahrā se na rishta ban jaa.e
ek bārish meñ jo dariyā ban jaa.e
burā bantā huuñ ki shāyad aise
vo mire sāmne achchhā ban jaa.e
kāmyābī tire paañv chūme
tere gāloñ pe sitāra ban jaa.e
koī yādoñ ke ghane jañgal se
yuuñ guzartā hai ki rasta ban jaa.e
patthar us vaqt nazar aate haiñ
paanī jab aa.ine jaisā ban jaa.e
aise sahra se na rishta ban jae
ek barish mein jo dariya ban jae
bura banta hun ki shayad aise
wo mere samne achchha ban jae
kaamyabi tere panw chume
tere galon pe sitara ban jae
koi yaadon ke ghane jangal se
yun guzarta hai ki rasta ban jae
patthar us waqt nazar aate hain
pani jab aaine jaisa ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.