aisi jamai tu ne mere dil pe dhak bas
aisī jamā.ī tū ne mire dil pe dhaak bas
har-dam hai terī shab tirā inhimāk bas
vo āsmāñ kā chāñd hai tū hai charāġh-e-rāh
tū duur se hī dekh use us ko taak bas
tīr-o-kamāñ kisī ke hameñ kyā miTā.eñge
teġh-e-nazar se hote haiñ ham to halāk bas
mil jā.egā qarār dil-e-be-qarār ko
mujh ko dikhā de apnā ruḳh-e-tābnāk bas
hai mubtalā-e-dard-o-alam merī zindagī
bin tere kaT rahī hai magar Thīk-Thāk bas
kuchh is meñ lutf hai na maza hai na kaif hai
qissa ġharīb kā hai bahut dardnāk bas
ḳhushbū nasīb hotī hai us ko na gul 'qamar'
sahrā-nashīñ ke hisse meñ aatī hai ḳhaak bas
aisi jamai tu ne mere dil pe dhak bas
har-dam hai teri shab tera inhimak bas
wo aasman ka chand hai tu hai charagh-e-rah
tu dur se hi dekh use us ko tak bas
tir-o-kaman kisi ke hamein kya miTaenge
tegh-e-nazar se hote hain hum to halak bas
mil jaega qarar dil-e-be-qarar ko
mujh ko dikha de apna ruKH-e-tabnak bas
hai mubtala-e-dard-o-alam meri zindagi
bin tere kaT rahi hai magar Thik-Thak bas
kuchh is mein lutf hai na maza hai na kaif hai
qissa gharib ka hai bahut dardnak bas
KHushbu nasib hoti hai us ko na gul 'qamar'
sahra-nashin ke hisse mein aati hai KHak bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.