aisi kahan utri hai koi sham meri jaan
aisī kahāñ utrī hai koī shaam mirī jaan
ashjār pe likhā hai tirā naam merī jaan
kaTte haiñ kahāñ ek se din raat ye mausam
hai ziist bhī ik hasrat-e-nākām mirī jaan
khetoñ meñ kahāñ ugte haiñ lafzoñ ke marāsim
harfoñ kī tijārat meñ ga.e naam mirī jaan
mujh ko nahīñ pahuñchī tirī ḳhushbū to karūñ kyā
be-shak tū rahe lāla-o-gulfām mirī jaan
har gaam ta'alluq kī salīboñ pe chaḌhe haiñ
chhuTtā hī nahīñ zaat kā hangām mirī jaan
miT jā.eñge sab ranj-o-alam qurb se tere
bhejā hai tujhe pyaar kā paiġhām mirī jaan
palkoñ pe dhare ḳhvāboñ ke lāshe na uThānā
hai aas yahī 'ishq kā anjām mirī jaan
aisi kahan utri hai koi sham meri jaan
ashjar pe likha hai tera nam meri jaan
kaTte hain kahan ek se din raat ye mausam
hai zist bhi ek hasrat-e-nakaam meri jaan
kheton mein kahan ugte hain lafzon ke marasim
harfon ki tijarat mein gae nam meri jaan
mujh ko nahin pahunchi teri KHushbu to karun kya
be-shak tu rahe lala-o-gulfam meri jaan
har gam ta'alluq ki salibon pe chaDhe hain
chhuTta hi nahin zat ka hangam meri jaan
miT jaenge sab ranj-o-alam qurb se tere
bheja hai tujhe pyar ka paigham meri jaan
palkon pe dhare KHwabon ke lashe na uThana
hai aas yahi 'ishq ka anjam meri jaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.