aisi kasak thi aankh se aansu gira na tha
aisī kasak thī aañkh se aañsū girā na thā
is baar merā dard bhī merī davā na thā
bechain ruuh chain se baiThī na ek pal
jab tak mire vo jism meñ dāḳhil huā na thā
ehsān raushnī kā hī rahtā tamām umr
varna tire charāġh se mujh ko gila na thā
is rāste pe manzileñ maiñ ne talāsh kiiñ
jis rāste pe koī kahīñ naqsh-e-pā na thā
maiñ Dar rahā huuñ aaj ki us ke jamāl par
rang-e-hayā to ḳhuub thā rang-e-vafā na thā
dil ne kisī tarah kī parastish na kī qubūl
vo shaḳhs be-misāl thā lekin ḳhudā na thā
us ne bhī ghar banā.e the kitnoñ ke zehn meñ
'sājid' use tū sochne vaalā nayā na thā
aisi kasak thi aankh se aansu gira na tha
is bar mera dard bhi meri dawa na tha
bechain ruh chain se baiThi na ek pal
jab tak mere wo jism mein daKHil hua na tha
ehsan raushni ka hi rahta tamam umr
warna tere charagh se mujh ko gila na tha
is raste pe manzilen main ne talash kin
jis raste pe koi kahin naqsh-e-pa na tha
main Dar raha hun aaj ki us ke jamal par
rang-e-haya to KHub tha rang-e-wafa na tha
dil ne kisi tarah ki parastish na ki qubul
wo shaKHs be-misal tha lekin KHuda na tha
us ne bhi ghar banae the kitnon ke zehn mein
'sajid' use tu sochne wala naya na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.