aisi kya baat sar-e-sham nibhani hogi
aisī kyā baat sar-e-shām nibhānī hogī
dāstāñ ġham kī bhī hañs hañs ke sunānī hogī
jo haqīqat mire armānoñ kā unvān rahī
ahl-e-duniyā ke liye sirf kahānī hogī
yuuñ to har dil hai mohabbat kā tamannā.ī yahāñ
phir bhī kyoñ dil se mohabbat hī bhulānī hogī
ġham ubhar aa.egā chehre pe mire ban ke dhuāñ
terī āñkhoñ ko yahī baat chhupānī hogī
maiñ 'ḳhalish' huuñ to mirā phūloñ se rishta kyā hai
phir bhī duniyā mujhe phūloñ se sajānī hogī
aisi kya baat sar-e-sham nibhani hogi
dastan gham ki bhi hans hans ke sunani hogi
jo haqiqat mere armanon ka unwan rahi
ahl-e-duniya ke liye sirf kahani hogi
yun to har dil hai mohabbat ka tamannai yahan
phir bhi kyon dil se mohabbat hi bhulani hogi
gham ubhar aaega chehre pe mere ban ke dhuan
teri aankhon ko yahi baat chhupani hogi
main 'KHalish' hun to mera phulon se rishta kya hai
phir bhi duniya mujhe phulon se sajaani hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.